Lyrics – Tere Dar Par Sanam – Phir Teri Kahani Yaad Aayi

Title: Tere Dar Par Sanam
Movie: Phir Teri Kahani Yaad Aayi
Singer: Kumar Sanu
Lyrics: Qateel Shifai
Music: Anu Malik

Tere dar par sanam chale aaye
Tu na aaya to hum chale aaye
Chale aaye, chale aaye
Tere dar par sanam chale aaye
Tu na aaya to hum chale aaye

Bin tere koi aas bhi na rahi
Itne tarse ke pyaas bhi na rahi
Itne tarse ke pyaas bhi na rahi
Ladkhadaaye kadam, chale aaye – 2
Chale aaye, chale aaye
Tere dar par sanam chale aaye
Tu na aaya to hum chale aaye

Isse pehle ki hum pe hasti raat
Ban ke nagin jo humko dasti raat
Ban ke nagin jo humko dasti raat
Le ke apna bharam chale aaye -2
Chale aaye, chale aaye
Tere dar par sanam chale aaye
Tu na aaya to hum chale aaye

Video: Tere Dar Par Sanam on Youtube

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *