Dil to Bachcha Hai Ji

Who else but Gulzar could have penned down words like Dil To Kachcha Ha Ji. Its been long since I saw this awesome a play of words. My new fav song!

Movie: Ishqiya (wiki, IMDB)
Lyrics: Gulzar
Music: Vishal Bhardwaj

Aisi ulji nazar unse hatt ti nahi
Daant se reshmi dor katt ti nahi
Umar kab ki baras ke safaid ho gayi
Kaari badari jawani ki chatt ti nahi
Walla ye dhadkan bhadne lagi hai
Chehre ki rangat udne lagi hai
Darr lagta hai tanha sone mein ji

Dil to bachcha hai ji
Dil to bachcha hai ji
Thoda kaccha hai ji
Haan dil to baccha hai ji
Aisi ulji nazar unse hatt ti nahi
Daant se reshmi dor katt ti nahi
Umar kab ki baras ke safaid ho gayi
Kaari badari jawani ki chatt ti nahi
Ra ra ra ..

Kisko pata tha pehlu mein rakha
Dil aisa baaji bhi hoga
Hum to hamesha samajhte the koi
Hum jaisa haaji hi hoga
Hai zor karein, kitna shor karein
Bewaja baatein pe ainwe gaur karein
Dilsa koi kameena nahi
Koi to rokey, koi to tokey
Iss umar mein ab khaogey dhokhe
Darr lagta hai ishq karne mein ji

Dil to bachcha hai ji
Dil to bachcha hai ji
Thoda kaccha hai ji
Haan dil to baccha hai ji

Aisi udhaasi baithi hai dil pe
Hassne se ghabra rahe hain
Saari jawani katra ke kaati
Piri mein takra gaye hain
Dil dhadakta hai to aise lagta hai woh
Aa raha hai yahin dekhta hi na woh
Prem ki maarein kataar re
Taubah ye lamhe katt te nahi kyun
Aankhein se meri hatt te nahi kyun
Darr lagta hai mujhse kehne mein ji

Dil toh bachcha hai ji
Dil toh bachcha hai ji
Thoda kaccha hai ji
Haan dil toh baccha hai ji

The music reminds me of the glorious times of Hindi music when instruments were simple and artists were masters of their craft. Must hear for any Hindi music fan.

I dint type the lyrics. I copied em from here.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.