Kuch Kuch Hota Hai

If Karan Johar can make Kuch Kuch Hota Hai and Javed Akhtar can write Kyonki Fighter Hameha Jeet-ta Hai, main kyon nahin kuch likh sakta?

Hasratein hain. Khwahishein hain. Sapne hain.
Talash hai manzil ki.
Nikal pada hoon ghar sey. Bhataknay ko.
Sapnon kay pass. Apnon sey door.

Kuch hai to sirf ye door tak jaati lambi sadak.
Chal raha hoon.
Kabhi savariyon par. Kabhi apne kadamo par.
Kabhi kama kar. Kbhi udhaar par.

Raste main chand meel kay pathar mile.
Kuch acche lage. Kuch par main ruka.
Kuch pay log ruke they. kuch par logon nay roka.
Kuch nay kuch kisse sunaye. Maine kuch kahaniya.
Kuch der baatein hui. Kuch der chala silsil.

Kuch der baad fir kuch sapna aaya.
Fir chal diya.

Kuch der kuch log saath chale. Kuch der akela chala.
Kuch kahaniya yaad rahi. Kuch kisse bhool gaya.

Akela nikla tha. Kuch der kuch saathi mile.
Kuch kuch der saath chale. Kuch beech main kahin aur chal pade.

Bas rah gayi ye sadak.
Ye raaste.
Woh anjaai manzil.
Aur khoob saare sapne.

Kuch feedback?

5 thoughts on “Kuch Kuch Hota Hai”

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *