Gulaal – Yaara Maula

Track: Yaara Maula
Lyrics: Rahul Ram, Aushim, Piyush Mishra
Movie: Gulaal

Ever since I saw, Gulaal, I have been gung ho about it. As I said earlier too, I cant decide if I hate the movie or love it. But one thing is for sure – I couldnt ignore it. The music is super awesome. The lyrics are even better. Here is the best track from the movie.

Yaara Maula

Yaadon mein hai ab bhi
Kya sureela wo jahaan tha
Hamaare haathon mein rangeen gubbare they aur, dil mein mehekta samaa tha

Yaara Maula

Wo to khwabon ki thi duniya
Wo kitaabon ki thi duniya
Saans mein they machalte hue zalzale, aankh mein wo suhaana nasha tha

Yaara Maula

Wo zameen thi aasmaan tha
Humko lekin kya pata tha
Hum khade they jahaan par usi ke kinaare par gehra sa andha kuaan tha

Yaara maula

Phir wo aayi bheed bankar
Haath mein they unke khanjar
Bole phenko ye kitaabein
Aur sambhalo ye salaakhein

Ye jo gehra sa dhooaan hai
Haan haan andha to nahi hai
Is kooein mein hai khazana
Kal ki duniya to yahin hain
Kood jao le ke khanjar
kaat daalo jo ho andar
Tum hi kal ke ho Shivaji
Tum hi kal ke ho Sikandar

Humne wo hi kiya jo unhone ne kahaa
kyunki unki to khwahish yahi thi

Hum nahi jaante ki ye kyun ye kiya
kyun ki unki farmaaish yahi thi

Ab hamaare lagaa jaayka khoon ka
ab bataao karein to karein kya
nahi hai koi jo hamein kuch bataaye
Bataao karein to karein kya

Via Musicaloud

2 thoughts on “Gulaal – Yaara Maula”

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.